Aaj World Health Day hai maine socha ki aaj thodi charcha karte hain. Thodi baat karte hain ki aakhir health kya hai?
- Swasth kise kaha jana chahiye?
- Health ka asli matlab kya hai?
- Aur Homoeopathy humein swasth rehne me kis tarah madad karti hai?
Sabse pehle dekhte hain ki health ka matlab kya hai.
WHO ki definition ke mutabik health ka matlab sirf disease ka na hona nahi hai. Health ka matlab hai physical, mental, social aur spiritual well-being. Yaani koi bhi vyakti sharirik, mansik, samajik aur adhyatmik roop se anand ki avastha me ho, to use healthy kaha ja sakta hai.Iska matlab yeh bilkul nahi hai ki sirf disease na ho to aadmi healthy hai.
Ek baar Swami Vivekananda se poocha gaya tha ki andhkaar kya hai?
Unhone bahut sundar jawab diya tha. Unhone kaha ki
andhkaar ka apna koi astitva nahi hota. It is just absence of light. Andhkaar sirf prakash ki gair-hazri hai.
Isi tarah asatya kya hai? Asatya ka bhi apna koi alag wajood nahi hota. It is just absence of truth. Satya ki gair-hazri hi asatya hai.
Aur isi tarah disease kya hai? Disease ka bhi apna koi alag wazood nahi hai. Disease asal me health ki absence hai. Jahan health nahi hai, wahan disease hai.
Aaj humari sabse badi galti kya hai?
Modern science bahut progress kar rahi hai, roz naye research aa rahe hain, naye naye rog samne aa rahe hain, unke karan dhoonde ja rahe hain, unki dawaein ban rahi hain. Lekin humara poora focus kis par hai? Disease par.
Jiska khud ka koi independent existence hi nahi hai, hum usi par poori research kar rahe hain.
Sochiye, agar koi aadmi poori zindagi andhkaar par research karta rahe.
- Andhkaar ka PhD kar le.
- Andhkaar ke baare me har information ikatthi kar le.
- To kya uske kamre me ujala ho jayega ? Nahi. Ujala tab hoga jab diya jalaya jayega.
- Prakash tab aayega jab hum prakash par focus karenge.
Isi tarah health tab aayegi jab hum health par focus karenge.
Aaj humare paas diseases ki information bahut hai. Kaunsa virus kaunsi bimari karta hai, kaunsa bacteria kaunsi problem karta hai, kaunsa hormone badhta hai, kaunsa kam hota hai, sab pata hai.
Lekin ek sawal poochiye…
Insaan healthy kaise rahe?
Uske liye kitni research ho rahi hai?
Aaj har field ka specialist mil jayega. Koi heart specialist hai, koi skin specialist hai, koi bone specialist hai, koi brain specialist hai. Lekin insaan ko swasth kaise rakha jaye, is par kaun kaam kar raha hai?
Yeh bahut bada prashn hai.
Health ka matlab hai well-being.
Anand ki avastha.
Aur jab aap Organon padhte hain, jab aap Homoeopathy padhte hain, to Vital Force ka concept samne aata hai.
Vital Force ka kaam kya hai?
- Saare sensations normal rahein.
- Saare functions normal rahein.
Jab sensations aur functions normal honge tab vyakti kya anubhav karega? Parmanand.
Aur yahan ek baat samajhna bahut zaroori hai.
Pleasure aur Happiness me bahut antar hai.
Aaj hum sab pleasure ke peeche bhaag rahe hain.
- Mere paas bada bangla hoga to maza aayega.
- Mere paas badi gaadi hogi to maza aayega.
- Main AC me baithunga to maza aayega.
Yeh sab pleasure hai.Temporary hai.
Lekin aap real santon aur mahatmaon ko dekhiye unke pass.
Na bada ghar.
Na badi gaadi.
Na zyada suvidhayein.
Phir bhi woh anandit hain.Kyun?Kyuki anand andar ki anubhuti hai. Anand tab aata hai jab sharirik, mansik, samajik aur adhyatmik santulan hota hai.Tab health hoti hai.Tab well-being hoti hai.
- Aur tab vyakti jeevan ka sachcha anand leta hai.
Ab thoda aur practical tareeke se samajhte hain ki health ki pehchan kya hai.
Health ka matlab sirf itna nahi hai ki report normal aa gayi aur doctor ne bol diya ki aapko koi disease nahi hai.
Health ki asli pehchan humare roz ke functions se hoti hai.
- Aapko bhook lagti hai ya nahi?
- Aapko pyaas lagti hai ya nahi?
- Aap khana achhe se kha paate hain ya nahi?
- Khaya hua khana pachta hai ya nahi?
- Urine normal hai ya nahi?
- Stool normal hai ya nahi?
- Neend achhi aati hai ya nahi?
- Subah uthkar fresh mehsoos karte hain ya nahi?
- Aap apna roz ka kaam aasani se kar paate hain ya nahi?
Yeh sab health ke indicators hain.
Maan lijiye kisi vyakti ko koi bada disease diagnose nahi hua hai. Reports bhi normal hain. Lekin usko raat ko neend nahi aati. Woh raat bhar karvatein badalta rehta hai.Kya woh healthy hai?Nahi.
Kisi ko bhook nahi lagti.Kya woh healthy hai?Nahi.
Kisi ko pyaas nahi lagti.Kya woh healthy hai?Nahi.
Kisi ko paseena hi nahi aata.Kya woh healthy hai?Nahi.
Yaani health ka matlab sirf disease ka absence nahi hai.
Health ka matlab normal functioning hai.
Aur sabse pehli disturbance kahan se shuru hoti hai? Well-being se.
Sabse pehle aadmi bolta hai, ‘Pata nahi aajkal kuch achha nahi lagta.’
Dhyan dijiye…Abhi koi disease nahi hai.
Koi report abnormal nahi hai.Lekin aadmi bol raha hai ki maza nahi aa raha.Anand nahi aa raha.
Yahin se health me girawat shuru ho gayi.
Yahin se Vital Force disturb hona shuru ho gaya.
Lekin hum kya karte hain?
Hum us stage ko ignore kar dete hain.
Jab tak disease ka naam nahi milta tab tak hum maante hi nahi ki kuch problem hai.
Isi liye Homoeopathy me jab patient follow-up ke liye aata hai to hum disease ke naam se zyada functions ke baare me poochte hain.
Doctor poochta hai:
- Bhook kaisi hai?
- Pyaas kaisi hai?
- Neend kaisi hai?
- Urine kaisa hai?.
- Stool kaisa hai?
- Energy kaisi hai?
- Aapko overall kaisa lag raha hai?
Aur agar yeh sab improve ho raha hai to iska matlab health wapas aa rahi hai.
Chahe disease ka naam abhi bhi wahi kyon na ho.
Isi liye log baar baar poochte hain:
Doctor sahab, falani bimari ki Homoeopathy me dawa hai?
Falane rog ki Homoeopathy me dawa hai?
Yeh naya disease aaya hai, iski dawa hai?
Main kehta hoon Homoeopathy me disease ki dawa nahi hoti.
Homoeopathy me health ki dawa hoti hai.
Homoeopathy vyakti ko swasthata ki taraf le jaati hai.
Disease ka naam kuch bhi ho sakta hai.Lekin jab health improve hogi to disease apne aap kam hone lagega.
Hamara focus disease nahi, health hai.
Aaj ke samay me log disease-centered ho gaye hain.
- Har jagah disease ki baat hoti hai.
- TV kholo disease.
- Internet kholo disease.
- YouTube kholo disease.
- WhatsApp kholo disease.
Lekin health ki baat kaun kar raha hai?
- Anand ki baat kaun kar raha hai?
- Well-being ki baat kaun kar raha hai?
Bahut kam log.
Aur isi wajah se duniya me diseases badhte ja rahe hain.Kyuki hum disease ke khilaf lad rahe hain, health ko mazboot nahi bana rahe.
Agar health mazboot ho gayi to disease ki jagah hi nahi bachegi.
Jaise prakash aa gaya to andhkaar apne aap chala gaya.Andhkaar ko bahar nikalne ki zaroorat nahi padi.Bas diya jalana pada.
Isi tarah health ko jagana hai.Vital Force ko mazboot banana hai.Aur yahi Homoeopathy ka asli uddeshya hai.
- Vyakti ko disease-free banana nahi.
- Vyakti ko health-full banana.
- Usko anand ki taraf le jaana.
- Usko well-being ki taraf le jaana.
- Usko us sthiti tak pahunchana jahan woh keh sake…’Haan, ab mujhe jeene me maza aa raha hai.’Yahi health hai.Yahi swasthya hai.
Ab hum baat karte hain Mental Health ki.
- Aaj kal hum sharirik swasthya ki baat to bahut karte hain, lekin mansik swasthya ki baat bahut kam karte hain.
- Jabki sachchai yeh hai ki mansik swasthya sharirik swasthya se bhi zyada mahatvapurn hai.
Sochiye…
- Aapko koi sharirik takleef nahi hai.
- Reports normal hain.
- Body fit hai.
Lekin mann me
- Har waqt tension hai.
- Har waqt chinta hai.
- Har waqt darr hai.
To kya aap healthy hain? Nahi.
Maan lijiye kisi vyakti ko office ka pressure hai. Woh sochta rehta hai ki
- Target poora hoga ya nahi hoga.
- Boss kya bolega?
- Job bachegi ya nahi bachegi?
- Promotion milega ya nahi milega?
- Usko raat ko neend nahi aati.
- Har waqt anxiety rehti hai.Kya woh healthy hai?Bilkul nahi.
- Ek maa ko apne bachche ke exam ki chinta hai. Teen din se neend nahi aa rahi. Har waqt wahi soch rahi hai ki mera beta pass hoga ya fail? Achhe marks aayenge ya nahi? Doctor ban payega ya nahi?
- Ab batayiye…Kya woh healthy hai? Nahi.
- Yahi mansik aswasthata hai.Aur ek baat yaad rakhiye…
- Jitna hum sthool se sukshma ki taraf jayenge, utni hi zyada shakti milegi.
- Sharir sthool hai.
- Mann usse sukshma hai.
- Buddhi mann se bhi sukshma hai.
- Aur praan sabse zyada mahatvapurn hai.
- Isiliye agar mann disturb ho gaya to sharir kabhi poori tarah swasth nahi reh sakta.
- Main aksar ek udaharan deta hoon.: Sharir gaadi ka tyre hai.Aur mann us tyre ke andar ka tube hai.
- Ab agar tyre bahut mazboot hai lekin tube phata hua hai, to gaadi chal payegi?Nahi.
- Isi tarah sharir kitna bhi strong ho, agar mann dukhi hai to jeevan ka anand nahi mil sakta.
Aaj hum
- depression ke baare me bahut sunte hain.
- Anxiety ke baare me bahut sunte hain.
- Stress ke baare me bahut sunte hain.
- Research bhi bahut hai.
- Neurotransmitters ke naam bhi maloom hain.
- Hormones ke naam bhi maloom hain.
- Kaunsi chemical kam ho gayi.Kaunsi badh gayi.
- Sab kuch pata hai.
- Lekin ek sawal hai…Mental health kya hai?
Aur mansik swasthya ko kaise anubhav kiya jaye?
Yeh bahut kam log samjha paate hain.
Mental health ka matlab hai ki vyakti apni paristhitiyon ke anusaar santulit pratikriya de.
- Agar gussa karna zaroori hai aur aadmi chup hai, to bhi problem hai.
- Aur agar chup rehna zaroori hai aur aadmi gussa kar raha hai, to bhi problem hai.
Mahabharat me Bhishma Pitamah ka udaharan diya jata hai.
Unhone kaha tha ki meri ek badi galti thi ki jab virodh karna chahiye tha tab maine virodh nahi kiya.
Yaani har sthiti me sahi bhavna aur sahi pratikriya hona bhi mansik swasthya ka hissa hai.
- Sirf gussa aana hi problem nahi hai. Galat samay par gussa aana bhi problem hai.
- Sirf rona hi problem nahi hai. Galat samay par toot jaana bhi problem hai.
- Sirf darr hi problem nahi hai. Bina wajah darrna bhi problem hai.
Mansik swasthya ka matlab hai emotional balance.
Aaj
- Kitne log hain jo vaastav me andar se shaant hain?
- Kitne log hain jo bina tension ke so paate hain?
- Kitne log hain jo bina kisi dar ke jee paate hain?
Bahut kam.
Aur isi liye mansik roop se swasth log bhi bahut kam hain.
Aaj duniya me adhiktar log jee nahi rahe, sirf survive kar rahe hain.
- Har waqt pressure.
- Har waqt competition.
- Har waqt comparison.
- Har waqt tension.
Aur phir hum kehte hain ki hum healthy hain.
Health sirf blood test ka naam nahi hai.
- Health ek anubhuti hai.
- Health ek feeling hai.
- Health ek state hai.
Jab vyakti andar se shaant ho, santusht ho aur jeevan ka anand le raha ho, tab use mansik roop se swasth kaha ja sakta hai.
Isi liye Homoeopathy me hum sirf disease nahi dekhte.
- Hum patient ka mann dekhte hain.
- Uski chinta dekhte hain.
- Uske darr dekhte hain.
- Uski nirasha dekhte hain.
- Uske gusse ko dekhte hain.
- Uski emotional state ko dekhte hain.
Kyuki sharir se pehle disturbance aksar mann me aati hai.
Aur jab mann theek hone lagta hai to sharir bhi theek hone lagta hai.
Isliye sharirik swasthya zaroori hai.Lekin mansik swasthya usse bhi zyada zaroori hai. Aur jab dono saath me santulit hote hain tab vyakti health ko enjoy karta hai.
Ab hum baat karte hain Emotional aur Social Well-being ki.
Dekhiye, health sirf sharir aur mann tak seemit nahi hai. Uske baad bhi kuch layers hain. Agar sharir tyre hai aur mann tube hai, to uske andar jo hawa hai, woh emotional, social aur spiritual well-being hai. Agar hawa hi na ho to tyre aur tube dono bekaar ho jayenge.
Aaj duniya me sabse zyada problem kahan aa rahi hai?
- Relationships me.
- Har jagah relationship issues hain.
- Ghar me tension hai.
- Pati-patni me tension hai.
- Maa-baap aur bachchon me tension hai.
- Dostiyon me tension hai.
- Office me tension hai.
Sawal yeh hai ki aisa kyun ho raha hai?
Kyuki hum khud andar se swasth nahi hain.
- Jo vyakti khud anandit nahi hai, woh doosron ko anand kaise dega?
- Jo khud shaant nahi hai, woh doosron ke saath shaanti se kaise rahega?
Bahut log kehte hain:
- Doctor sahab, mujhe logon se baat karne me hichkichahat hoti hai.
- Mujhe kisi par bharosa nahi hota.
- Mere saare dost swarthi hain.
- Mere saath sab dhokha karte hain.
- Mujhe lagta hai koi mujhe samajhta hi nahi.
Ab sawal yeh hai ki kya aise vyakti social well-being ko enjoy kar rahe hain?
Nahi.
Samajik swasthya ka matlab hai ki hum apne rishtey, apne samaj aur apne aas-paas ke logon ke saath santulit aur anandit tareeke se jee sakein.
Lekin aaj log ek relationship chhodkar doosre me ja rahe hain, doosra chhodkar teesre me ja rahe hain, phir bhi anand nahi mil raha.Kyun?
Kyuki problem relationship me kam aur andar zyada hai.
Insaan ki sabse badi khoj kya hai? Anand.
Har aadmi anand dhoondh raha hai.
- Koi paise me dhoondh raha hai.
- Koi pad me dhoondh raha hai.
- Koi rishte me dhoondh raha hai.
- Koi naam aur shohrat me dhoondh raha hai.
Lekin anand bahar nahi milta.
Anand andar se aata hai.
Aaj hum dekhte hain ki log bolte hain:
- Mera target poora hona chahiye.
- Mujhe promotion chahiye.
- Mujhe business badhana hai.
- Mujhe career banana hai.
Aur is chakkar me raat ke 12-1 baje tak kaam karte rehte hain.
Ab main poochta hoon…Kya yeh mental well-being hai?
Kya yeh health hai?
Agar koi aadmi 18 ghante kaam kar raha hai aur bol raha hai ki mere paas aaram ka time nahi hai, mere paas sone ka time nahi hai, mere paas family ke liye time nahi hai…To kya woh healthy hai? Nahi.
Hum sab apne aap ke saath ek tarah ki gaddari kar rahe hain.Hum paisa, position aur success ke liye apni health ko sacrifice kar rahe hain.
- Sharirik health ko.
- Mental health ko.
- Emotional health ko.
- Social health ko.
Aur phir kehte hain ki hum successful hain.
Lekin sawal yeh hai…
- Kya hum khush hain?
- Kya hum anandit hain?
Aaj
Bahut logon ke paas paisa hai lekin chain nahi hai.
Bahut logon ke paas ghar hai lekin ghar me sukoon nahi hai.
Bahut logon ke paas naam hai lekin mann me shaanti nahi hai.
Yeh sab is baat ka pramaan hai ki social aur emotional well-being kahin na kahin disturb ho chuki hai.
Health ka matlab sirf disease-free hona nahi hai.
Health ka matlab hai relationship ko enjoy kar pana.
- Logon ke saath jud pana.
- Prem kar pana.
- Maaf kar pana.
- Bharosa kar pana.
- Aur jeevan ko halka aur anandmay tareeke se jee pana
Agar
- Har chhoti baat par gussa aa jata hai…
- Har baat dil par lag jati hai.
- Har criticism se dukh hota hai.
- Har rishta bojh lagta hai.
To humein samajhna chahiye ki emotional level par kahin na kahin disturbance hai.
Aur jab emotional aur social well-being disturb hoti hai to uska asar dheere dheere sharir aur mann dono par padta hai.Isi
liye ek achha Homoeopath sirf disease nahi dekhta. Woh yeh bhi dekhta hai ki patient apne rishte kaise jee raha hai.
- Uski emotional state kya hai.
- Uski social life kaisi hai.
- Uski khushi kis baat me hai.
- Uska dukh kis baat me hai.
- Kyuki health ek poora package hai.
- Sirf body ka naam health nahi hai.
- Sharir, mann, bhavna aur samajik jeevan sab milkar health banate hain.
- Aur jab yeh sab balanced hote hain tab vyakti vaastav me swasth hota hai.”
Ab hum health ke sabse gehre star par aate hain, aur woh hai Spiritual Well-being.
Dekhiye,
- sharirik swasthya zaroori hai,
- mansik swasthya zaroori hai,
- emotional aur social swasthya bhi zaroori hai. Lekin in sabke andar jo sabse gehri baat hai, woh hai spiritual well-being.
- Spiritual well-being ka matlab sirf mandir jaana, pooja karna ya dharmik kriyaayein karna nahi hai.
Spiritual well-being ka matlab hai ki aap apne aap ke saath kitne sachche hain, apne siddhanton ke saath kitne imaandaar hain aur apni antar-atma ke saath kitni shaanti me hain.
Sochiye…Main koi kaam nahi karta, sirf office me sign karne jata hoon aur salary le leta hoon.
Kya main spiritually healthy hoon?
Main kisi vyakti ko dekhkar sochta hoon ki iske paas paisa hai, kisi tarah mujhe yeh paisa mil jaye.
Kya yeh spiritual health hai?
Main apne fayde ke liye jhooth bolta hoon, dhokha deta hoon, logon ka istemal karta hoon.
Kya iske baad bhi andar se shaanti mil sakti hai?
Nahi.
Aur yaad rakhiye, agar aadmi apne moral values ko compromise karta hai,
- to sabse pehle uski spiritual well-being kharab hoti hai.
- Jab spiritual well-being kharab hoti hai, tab dheere dheere mental peace bhi chali jaati hai.
- Mental peace chali jaati hai to emotional balance tootne lagta hai.
- Emotional balance tootne lagta hai to social relationships bigadne lagte hain.
- Aur ant me sharir bhi roggrast hone lagta hai.
- Yeh poori ek chain hai.
Aaj insaan paisa kamane ke liye kya kya nahi kar raha?
- Position ke liye.
- Promotion ke liye.
- Power ke liye.
- Chair bachane ke liye.
- Career ke liye.
- Naam aur shohrat ke liye.
Lekin sawal yeh hai…Yeh sab paane ke baad bhi kya hum healthy hain?
- Bahut log successful hain, lekin andar se dukhi hain.
- Bahut logon ke paas dhan hai, lekin mann ashant hai.
- Bahut logon ke paas pad hai, lekin raat ko chain ki neend nahi aati.
To phir yeh success kis kaam ki?
- Humne sab kuch pa liya, lekin health kho di.
- Humne sab kuch pa liya, lekin anand kho diya.
Aur yaad rakhiye…
Manushya ka antim lakshya
- sirf paisa kamana nahi hai.
- Sirf position paana nahi hai.
- Sirf success paana nahi hai.
Manushya ka asli lakshya hai
- Anand.
- Parmanand.
- Jeevan ka anand.
- Isi ko WHO Well-being kehta hai.
- Isi ko hamare rishi-muni Anand kehte the.
- Isi ko Homoeopathy Health kehti hai.
Aaj hum ulte raste par chal rahe hain.
- Hum health ko sacrifice karke paisa kama rahe hain.
- Hum neend sacrifice karke career bana rahe hain.
- Hum relationships sacrifice karke promotion le rahe hain.
- Hum principles sacrifice karke power hasil kar rahe hain.
Aur phir poochte hain ki hum khush kyun nahi hain.
- Kyunki humne anand ka raasta chhod diya.
Acharya Chanakya ne bahut sundar baat kahi thi.
Unhone kaha tha:
- ‘Andhera kitna bhi ghana ho, andhere ko gaali dene se andhera nahi jaata.’
- Agar kamre me andhera hai to andhere ki charcha mat karo.
- Diya jalao.
- Prakash lao.
- Aur andhera apne aap chala jayega.
Bilkul isi tarah disease ki charcha karte rehne se health nahi aayegi.
- Health ko jagana padega.
- Anand ko jagana padega.
- Well-being ko jagana padega.
- Tab disease dheere dheere kam hone lagegi.
Isliye main aapse kehta hoon ki sabse pehla dharm hai khud anandit rehna.Main yeh nahi keh raha ki doosron ko lecture dijiye.Main yeh nahi keh raha ki duniya badal dijiye.Sabse pehle khud ko dekhiye.
Khud se poochiye:
- Kya main sharirik roop se anandit hoon?
- Kya main mansik roop se shaant hoon?
- Kya main bhavnatmak roop se santulit hoon?
- Kya main samajik roop se khush hoon?
- Kya main adhyatmik roop se santusht hoon?
Agar jawab ‘haan’ hai, to aap health ko enjoy kar rahe hain.
Aur agar jawab ‘nahi’ hai, to humein health ki taraf wapas lautna hai.
Homoeopathy ka kaam bhi yahi hai.Vyakti ko disease se ladana nahi.
- Vyakti ko health ki taraf le jaana.
- Uske andar ki healing ko jagana.
- Uski well-being ko restore karna.
- Usko dheere dheere parmanand ki taraf le jaana.
Aur jab sharir, mann, bhavna, samaj aur aatma sab santulit ho jaate hain, tab vyakti vaastav me swasth hota hai.
- Yahi World Health Day ka sandesh hai.
- Yahi Homoeopathy ka sandesh hai.
- Aur yahi jeevan ka sandesh hai.
Jai Homoeopathy.Jai Hahnemann.
Leave a Reply