Q :Master ke hisab se highest ideal of cure kaisa hona chahiye?
A : The highest ideal of cure aisa hona chahiye
+ rapid (jald se jald)
+ gentle ( bina koi nuksan kiye )
+ permanent restoration of the health, or
+ removal & annihilation (puri tarah khatm kar dena) of the disease in its whole extent .
in the shortest,
+ most reliable (bharose ke kabil);
And
+ most harmless (bina nuksaan karne Wale) way,
+ Based on easily comprehensible (asani se samjh kar apply Kiya jane wale) principles.
Above mentioned ideal cure hamara Target 🎯( maximum achievement) hai aisa cure hona chahiye….
IDEAL: It is a target given by the master to cure sick individuals in an ideal manner in every case..
Master kahte hai ke yeh hamara Target hona chahiye ke hum Aisa kaam kare…
Ab zaruri nahi har baar aapko ideal results mile lekin aap ne ideal ke liye koshish karna hai.
Principal : General & basic Truth
Aise law (law of similia ) jo sachai par based ho aur uske base par hum sahi ya galat defined kar sakte hai . Us law par agar Homeopathic dawa diya to woh apna kaam karegi
Eg :
Gravity → follow law of gravitation
magnets → follow magnetic principal
Similarly Homeopathic medicine → follows Homeopathic law
Healing art : heal holistic: patient ka ander aur bahar ka sab environment physician ko pata hona chahiye.kyunki physician patient ka friend philosopher and guide hota hai
Q : Ek physician ka Target 🎯 kya hai ?
A : Target to cure karna hai lekin agar nahi kar sakte to palliative karna hai.
Q : kya zaruri hai har baar Target achieve hota hi hai ?
A : Nahi ,kabhi kabhi Target (to cure) achieve nahi hota hai.
Q: kaise pata lagega kya cure karna hai aur kya palliate karna hai ?
Based on allied subject (anatomy, pathology, surgery,PSM , medicine etc) we are able to decide konse case me reversible changes hai .konse case me irreversible changes hai .
Based on prognosis of that condition we can think which case is curable or which case is palliable
1) Curable cases
2) Incurable cases
Kis case me cure ke liye koshish karna hai
Kis case me palliate karna hai.
Kya karna hai woh aphorism 1 & 2 me Diya hai aur kya nahi karna hai woh footnotes me Diya hua hai.
Clinic me patient aate hai .
Acute disease:
patient ke external environment cause hoga.
Exciting cause (jaise barish me bheeg gaya , zyda dhup lag gayi , dhabe par spicy kha liya, ghar par raat ka bashi khana kha liya)
Chronic cases:
patient ke internal environment cause hota hai i.e Maintaining causes ( koi gussa hai , koi gam hai , koi udasi hai , koi fear hai , koi torture hai etc)
Humein sick person ke health ko restore karne par focus karna hai , patient ka internal and external cause remove Kiya to patient apne aap healthy ho jayega .
Uski bimari nikal Jayegi.
Humein diseases ke upar focus nahi karna hai humein health ke upar focus karna hai.
Humein patient ko health dena hai usme se diseases apne aap nikal jayegi .agar aap uska internal & external environment correct kar denge
Q : Ab yeh environment kaise sudharenge? Kis based par medicine denge??
Medicine di jati hai indication par..
Pathology ka naam kuch bhi ho lekin hamari medicine uske indication ko dekh kar select karna hai.
PQRS = Portrait of diseases…
Q: Kya hamara maqsad patient ko bandh kar rakhna hai , apne medicine par dependent bana kar rakhna hai ?
Patient ko bandh kar nahi rakhna hai main target usko cure karna hai.
Q: Kyu practical life me Homeopathic medicine theek hone ke baad bhi complaint ka recurrence hota hai ?
Q : Kyu jab hum bolte hai homeopathy se bimari jad se khatam karti hai lekin fir kyu se ho jata hai ?
Q : Kai baar koi bimari theek hone ke baad bhi fir se kyu ajati hai ? Aisa kyi baar hua ? Yeh sawal hamare man me aate hai ?? Fir hum apne logic lagane lagate hai !
Sayed partial cure hoga , maintaining cause hoga. Hum confirm kyu nahi rakhte ki yahi wajah hai ? Usually cases of renal stone, fungal infection, piles etc
Ans : Jab hum similimum dete hai to Homeopathic medicine jad (root) se mita deta hai lekin agar patient ne fir se jad (root) lagaya to fir bimari ka plants 🌱 to paida hi hoga.
Isiliye master Hahaneman ne *aphorism 4 me bataya physician ko preserver of health bhi hona chahiye*
Cure : to care : iska ye matlab nahi ke disease ko sirf remove kar dena , uska matlab hai remove karne ke baad bhi sick ki dekh bhal karna uske health maintain karna hai. (Advice, diet, lifestyle management)
Physician ko zimmedari hai apne patient ko treat karne ke baad jab health aa jaye to us health ko preserve karna hai.woh bimar na pade is baat ka dhyan rakhna yahi uska mission hai.
Theoretical medicine : bimari ke naam par dawa mat dijiye; bus PQRS ke based par medicine de kyunki Cure kisi part ka nahi hota cure as a whole hota hai…
Eg :
Doctor mujhe bahut sardi hoti hai
Sneezing 50-60 ek saath ajati hai
Epistaxis bachpan se naak se khun aata hai.
Ice cream bahut accha lagta hai
Khane me Salt upar se accha lagta hai
Itni thandi me bhi Cold drink Peeta hu.
Mai sota hu right side karvat lekar sota hu.
Ab pathology koi bhi ho lekin medicine us patient ka as a whole phosphorus ayega…
Ab woh nasal polyps ho ya DNS ho ya cancer hi kyu na ho..
Indication ke based par phosphorus hi uski medicine ayegi….
Isliye diseases ke naam par medicine Dene ke bajaye sick person ke diye gaye indication par medicine Dena hai.
Cure as a whole not for a part /disease
Saccha Gyan kahi se bhi mile woh seekh lena hai bhale woh apke dushman ke pass se kyu na mile
Sabhi ke ander se acchai ko hi Lena hai uski burai ko nahi Lena hai….
Leave a Reply