APHORISM 4 : PRESERVER OF HEALTH
He is likewise a preserver of health if he knows the things that derange health and cause disease, and how to remove them from persons in health….
Ab hum terminology ko samjhne ki koshish karte hai jo is aphorism me Master Hahnemann ne use kiye uske baad seekhenge ke is aphorism ko practice me kaise apply karna hai .
Likewise -the same; in a similar way उसीप्रकार
PRESERVER– a person who maintains something in its original or existing state or condition.
HEALTH– a state of complete physical + mental & social well-being and not merely the absence of disease or infirmity…
THINGS– an inanimate material object as distinct from a living sentient being.
DISEASE– Disease, any harmful deviation from the normal structural or functional state of an organism, generally associated with certain signs and symptoms and differing in nature from physical injury.
Here ; Physician ko preserver of health bola Gaya hai. It Means uska kaam only removal of disease nahi restoration & maintenance of health hai…
A diseased organism commonly exhibits signs or symptoms indicative of its abnormal state
Aap ne kyi baar clinic me dekha hoga …
Patients may say !
Sir Pahle to aisa nahi tha lekin ab aisa ho raha hai.
Sir Pahle mujhe gussa nahi aata tha ab bahut chidchida lag raha hai.
Pahle mujhe kuch nahi tha ab yeh gale me sujan aa raha hai.
Pahle stool normal tha ab hard ho Raha hai.
Pahle to urine normal tha ab yellow aur offensive ho Gaya hai..
Pahle kuch nahi tha matlab health tha lekin ab jo hai woh health se deviation hai jisko firse restore karwane ke liye woh patient physician ke paas aaya hai.
To ab batao hamara maqsad kya hai Hamara maqsad jo uske ander deviation aaya hai usse pahle ke state me lekar Jana hai.
Health ke ilawah Jo bhi hota hai woh deviation hai …
REMOVE- TO GET RID OFF
Kya hamara maqsad kisi bimari ko maintain karna hai ??
Jaisa Aaj kal Medical world 🌎 me aap dekh rahe hai …
Diabetes hai to uska sugar maintain kar rahe hai.
Hypertension hai to usko BP maintain kar rahe hai .
Thyroid hai to uska thyroid hormone maintain kar rahe hai..
Menstrual irregularities hai to uska hormone dekar menses regulate kar rahe hai…
Nahi ,Hamara maqsad health ko maintain karna hai..
Health persevere:- aisa physician Jo janta hai ke illness/deviation ko restore karke health ki taraf kaise karna hai..aur ek baar health State aagaya to usko kaise maintain karna hai…
Deviation of Health = disease.
Immediate cause : Exciting cause ..
Main cause : maintaining cause : Miasm
Physician ko Koi bhi kaisi Bimari ho uske naam ko dekh kar Darna nahi hai..aur na hi turant dimag me aise pathology ki medicine ko sochne lagna hai..
Physician ko hamesha Patient se Jo bhi jitna bhi indication mile uski totality bana kar jo bhi remedy aa rahi hai woh medicine de Dena hai..
Bimari ke naam kya hai ,uske peeche kya kya Karan hai in sab chakkar me ya theory banane ke chakkar me nahi padna hai..
(avoid practicing theoretical medicine FN1)
Kyunki physician ka kaam baatein banana nahi patient ko health ki taraf restore karna hai.
Ab tak ke Aphorism me humne kya seekha ?
Physician ka Mission kya hai ?? :
aphorism 1 : cure karna
Aphorism 2 : cure kaise karna hai ??
Aphorism 3 : cure karne ke liye konse knowledge ki zarurat hai ??
Aphorism 4 : health restoration ke baad usko maintain karne ke liye kya karna hai ??
To humne kya seekha ???
Jo bhi cheez patient ke health ko nuksan karti ho usse bachne ki salah deni chahiye.
Aphorism 4 ka Practical application:-
Aap ne clinic me kisi patient ke dard ko jad se (by root 🫚) khatam kar diya lekin kuch mahine baad fir se woh bimar ho kar agaya to..
Agar jad se bimari khatam Hui thi to fir se kaise agai ?? .
Kya firse jad dobara ug sakti hai ,kya firse bimari ka plant ☘️ lag sakta hai ???
Haa kyu nahi ,pahle Jo seed aur soil aur favorable environment se woh bimari ka plant ☘️ uga tha fir se seed lagne par aur environment milne par kyu nahi ug sakta ….
Aise me hum physician ko kis baat ka dhiyan rakhna chahiye????
Humein dhiyan rakhna hai ki bimari root se khatam karne ke baad fir se usko na ho..uske liye uske diet, lifestyle,mood me acche badlav lane ki advice Dena chahiye..
Q: Ab yeh bimari ke jad kaha kaha lag sakte hai.??
A:Yeh koi bhi level par lag sakte hai ab woh physical ho ya mental ho ya emotional level par.
Physician janta hai ke kis kis Karan se yeh jad lag sakta hai ,aur usse kaise bachaya ja sakta hai
Physician ko har tarah ke auxiliary mode of management,and prevention of disease ka knowledge hona chahiye ke konse case me kaisa advice karna hai …
Kya khane peene ke liye advice karna hai aur kya khane peene se mana karna hai..
Eg :
A case of hyperacidity jo gussa aane par trigger ho jata tha…
Aise patient ko medicine Dene ke saath saath advice Dena bhi zaruri ke gussa Kam Kiya Karo..
Ek diabetic patient ko sweet desire hai , control hi nahi hota ..usko medicine Dene ke saath saath sweets Kam lene ke liye advice Kiya jana chahiye..
Ek constipation ka patient hai aur usko chicken mutton spicy khane me bada maza aata hai ,bilkul parhez nahi karta aise patient ko bhi medicine Dene ke saath saath aise unhealthy diet lene se mana karna hai aur healthy high fiber,green leafy vegetables , High water intake lene ki advice deni chahiye…
Ek allergic rhinitis ka patient hai jisko ice cream aur cold drink khane ka bahut man karta hai lekin jab bhi khata hai usko sardi ho jati hai ab usko medicine ke saath saath cold drink or ice cream Kam karne ke liye advice karna hai….
Aise hi har tarah ke problems me Jo bhi cheez patient ke health ko deviate kar deti hai un sab cheezon se bachne ki salah deni hai.
Leave a Reply