Story of Arg Nit by His Wife

Mera husband hai na… bilkul hi badal gaya hai, khaaskar jabse uski tabiyat kharab hui hai.

Har waqt tension mein rehta hai.

Future ka itna load leke rakha hai par koi kaam nahi karta. Bas sochta rehta hai — “kya hoga, kaise hoga, paise khatam ho rahe hain” — par koi decision hi nahi le raha.

Chhoti chhoti cheezon pe itna ghabra jaata hai, jaise doctor ka appointment lena ho, train ki ticket book karni ho — toh pura din usi baat ka stress leke baitha rahega.

Agar koi kaam time se fix ho gaya, toh us waqt tak uska haal hi kharab ho jaata hai.

Jaise koi bada operation hone wala ho!Aur kuch bol do toh jaldi se dar jaata hai, kuch zyada hi emotional ho gaya hai.

Pehle thoda normal tha, par ab toh bilkul andar andar chhup gaya hai.

Na feelings express karta hai, na khud ke liye kuch karta hai.Sabse badi baat — uska confidence bilkul zero ho gaya hai.

Har kaam mein kehta hai “mujhse nahi hoga”, “kaam karunga toh tabiyat aur bigad jaayegi”. Matlab usko toh bharam ho gaya hai ki kaam uske liye zeher hai. Is chakkar mein job bhi resign kar di — bina koi backup ke, bina plan ke.

25 saal tak ek hi company mein laga raha, na kabhi kuch alag seekhne ki sochi, na apne future ke liye kuch plan kiya.

Na ambition, na goals… na baby ke baare mein kabhi seriously socha. Bas jaisa chal raha tha, waise hi chalte diya.

Mujhe lagta hai yaar, usme woh himmat hi nahi hai, koi dum hi nahi hai life ke decisions lene ka.

Aur lagta hai jaise uske dimaag mein yeh baat baithi hui hai ki sab uske against hain.

Maa bhi usey chhoti chhoti baaton pe sunati thi, toh shayad tab se uske andar ek rejection ka feel aa gaya hai — jaise koi usko chaahta hi nahi.Main bhi ab thak gayi hoon yeh sab dekh kar. Samajh nahi aata kaise haath pakad ke usko phir se zindagi mein khada karu.

Par kya karu, vo hai hi aisa — weak minded, confused, aur har waqt dariya mein dooba hua.


Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *