Woh Jo Maa Ki Aghosh Ko Taras Gayi

Woh Jo Maa Ki Aghosh Ko Taras Gayi

—Aurum Muriaticum Natronatum Ki Kahani

Homeopathy sirf bimari ka ilaj nahi, balkay dil aur rooh ke zakhamon ka marham hai. Aurum Muriaticum Natronatum ek aisi hi dawai hai—ek kahani, ek jazbati safar, ek aisi rooh ka dard jo maa ke hone ke bawajood uski aghosh se mehroom rahi.

Wo ek larki thi—hamesha muskuraati hui, apne faislay khud karti, kisi par bojh na ban’ne wali. Log kehte, “Kya strong aur independent ladki hai!” Magar koi nahi jaanta tha ke uski muskurahat ke peeche ek gehra tanhaai ka samandar hai. Uski zindagi mein maa thi, lekin sirf jism se—rooh se nahi. Maa ka pyar, uska waqt, uska shafqat bhara hath us larki ke naseeb mein nahi tha. Maa career aur duniya ke sapno mein itni masroof thi ke beti ka dil akela reh gaya.

Yeh larki zindagi ko aik jang samajhti hai. Har moamlay mein self-sufficient, kisi ki madad ke baghair jeena seekh chuki hoti hai. Lekin andar se… andar se wo sirf itna chahti thi ke koi us ke baalon mein ungliyan phiray aur keh de, “Main hoon tumhare liye.”

Is jazbati kami ne uski shakhsiyat mein ek sakhti paida kar di. Wo kisi ke samne jhukna nahi chahti. Usay lagta hai ke agar kisi ne uske andar jhank liya to uska dard be-naqab ho jaye ga. Yeh sakhti, yeh ego, asal mein aik narmi ko chhupane ka tareeqa hai. Wo opposition bardasht nahi kar sakti, kabhi kabhi abusive bhi ho jaati hai. Lekin asal mein, wo sirf kisi ke pyar bhare shabdon ki mohataaj hai.

Isi jazbati kami ka nateeja aksar physical diseases ki soorat mein samne aata hai—jese ke P.I.D. (Pelvic Inflammatory Disease), severe backache, hormonal imbalances ya anxiety disorders.

Absent Mother Syndrome

Aaj ke dor ki woh mums jo apne bacho se jazbati taur par juday nahi rehti, wo anjaane mein apne bacho ke andar yeh emotional vacuum paida karti hain. Jab maa, pregnancy ke doran ya uske baad, emotional attachment na bana sake, to aise bachay baray ho kar Aurum Muriaticum Natronatum jaisi shakhsiyat mein dhal sakte hain.

Yeh sirf un aurton ki dawai nahi jo tanha hain—balkay un maaon ke liye bhi aik wake-up call hai jo apni mojoodgi ke bawajood apne bachon ki emotional nourishment nahi kar rahi hotin.

Comparison with Magnesium Muriaticum

Magnesium Muriaticum bhi “abandonment” ka dukh le kar chalti hai, magar uske andar narmi aur sulah pasandi hoti hai. Jab ke Aurum Muriaticum Natronatum ek sakht shell mein band hoti hai, jise torna mushkil hota hai.

Important Rubrics

  • Delusion; dead mother is, his
  • Ailments from death of loved ones, mother of
  • Delusion, forsaken is
  • Delusion, neglected, he or she is
  • Egotism
  • Abusive
  • Contradiction, intolerant of

“Dard ka ilaj meethi goliyon ke sath.”

Aurum Muriaticum Natronatum Blog Cover

Book Appointment: 7021504031


Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *